“ek samandar hai jo mere kaabu mein hai,
aur ek katra hai jo mujhse sambhala nahin jaata
ek umr hai jo bitaani hai uske bagair,
aur ek lamha hai jo mujhse guzaara nahin jaata”
- Gulzar
“Kabhi khud pe to kabhi haalaat pe rona aaya,
Baat nikli to har ek baat pe rona aaya
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kisi baat par rona aaya”
- Sahir Ludhianvi
“Kuchh logon ke liye masroof zindagi se waqt nikaalna padta hai,
aur kuchh logon ko dil se nikaalne ke liye zindagi ko masroof karna padta hai”
- Bano Qudsia
Agar kisi ki taraf se bahut der se koi raabta na ho,
to poochh lein ki kya woh zinda hain?
Agar woh zinda hain toh yakeen karein, wahan aap marr chuke hain”